Hansta hua guzar raha tha main,
Baykhial tha zmaeen kay dar say main,
Khamosh sa tha her alam mera,
Ajank gunj uthi nayi awaz zameen main,
Chalay they jo ek khuwab saja ker,
Hatho main nayia hisab lay ker,
Ankhon main bheri umeedien lay ker,
Sunayi di phir ek nayi awaz ikhtietam layker,
Soucha tha hazar manzlien par ker jayie gay wo,
Ab souchta hoon kis haal main jism dhoiengay wo,
Bayshomar khazaney zmeen main dhas gayie,
Anjanoon ki ek nayi awaz kay mumtazar wo,
Kafan say liptay huie khandan hain yiahan,
Kuch dhund main obhertay sawal yahan,
Ankho main anso liye her baysaki yahan,
Sansoon ki nayi awaz ki chahat yahan,
Dua hai her dua mangnay walay say ,
Ab tu raha badal lay apni neeyat say,
Apany ap ko sabaq ka mumtazir na bana,
Wo bhi apnay they teyrie bhi apnay hain yahan,
Yei zameen , agg aur pani na janay hum ko,
Yie deygay koi nayi awaz sidhi raha say,

